|
Meri har nazar ka khavaab Tum ho
Mere dil-o-aashiya ka navaab Tum ho,
Karu zikr kya kamar ka Tujse
Mere jahaan-o-jannat ka aaftab Tum ho,
Keya ho mushk-o-rangat Tere bin
Mere gulsitaan ka ek gulaab Tum ho,
Beshumar hain nazrane jahaan ke
Mere liye to bas ek naayab Tum ho,
'Rooh' bahe jata hai darya-e-ishk me
Meri Qayaamat ka sailaab Tum ho.
- Surinder Singh 'Rooh'
|